Wednesday, July 30, 2008

Raahee


"Raahoon se mai jaa raha tha,
aur, mujhe kuch yaad aa raha tha,"

"unse raahon mai yun takrana
unse nazroon ka mil jaana
unka nazren jhukana,
shurma ke muskurana,
yaad hai, ab bhi mujhe woh afsana
hamara woh roz milna-milana"

"Raahoon se mai jaa raha tha,
kuch dhundla sa woh pal mujhe yaad aa raha tha,
hamara unse bicchad jana,
woh unka humse haath chudana,
gusse mai aankhen dikhana,
hamara rote hue bhi muskurana,"

"Raahon se mai jaa raha tha,
gumsum sa yuhi muskura raha tha"

For Love
Pushpraj

Tuesday, July 22, 2008

Pehla Pyaar



Hi Friends,

Mausam bahut khushgawaar hai , baarish ki phoohar hai aur lagta hai hawaon mai har taraf faila pyaar hai. Yaar har insaan ko kabhi na kabhi kisi na kisi se pyaar zaroor hota hai, pehle mai sochta thaa aisa kuch nahi hota hai, bina jaane pehchane kisi se chund mulakaato mai pyaar kaise ho sakta hai, lekin ab mai sochta hu, it is possible. Kyunki aisa mere saath ho gaya hai. Mai kisi se sirf 2-3 baar hi mila and now i think ki ........... i don't know. What about you guys, pass your comments on this yaar



Regards
Pushpraj Singh

Sunday, July 20, 2008

Bachpan


Hi & Hello,
Friends sometimes I feel ki time bahut bura chal raha hai, woh kehte hai na kalyug hai, log bure ho gaye hai lekin aisa isliye hua hai ki sab ko itni pareshaaniya hai ki woh dosro ki fikr hi nahi karte. Logo mai sensitiveness khatm ho gayi hai. Ab bina wajah koi kisi se dosti bhi karna pasand nahi karta hai. Aise waqt mai mujhe yaad aati hai bachpan ki kyun jab hum chote thae tau dosti kisi wajah se ya matlab se nahi karte thae balki jo bhi saath mil jata ussae hi hum apna dost bana lete. The best time of our life time has gone, what do you think about this, please post your comment.


Regards

Pushpraj Singh